Description
Allah Ta’ala ne insan ko paida kiya aur uske liye duniya mein pesh aane wali maaddi aur maanavi zarooraton ka intezaam bhi farma diya. Lekin insan fitri etebaar se nashukra aur bhoola bhala hone ki wajah se in saari naseehaton ko bhula baitha aur faraamosh kar diya. Aise hi insanon ko apna haqeeqi maqsad aur bhoola hua sabaq yaad dilane ke liye unhi mein se chand paakiza nufoos ko muntakhab farmaya.
Inhi paakiza nufoos ko ham Ambiya aur Rusul ke naam se mausoom karte hain. Allah Ta’ala ne unki ek badi tadaad muntakhab farmaai thi lekin chand hi ka tazkira hamein mustanad zaraae se maloom hota hai. Ye Ambiya wa Rusul hamare liye uswa aur namoone ki haisiyat rakhte hain, jinki zindagi ka har pehlu naseehaton se pur hai. Neez apni qaum ko hidayat par laane ki unki hirs, qaum ka is par radde amal, aur isi etebaar se Rab Ta’ala ki taraf se jaza ya saza ka faisla apne andar kai ibraton ko samete hue hai.
Unhi Ambiya wa Rusul ki zindagi aur unke mission ko dilchasp andaz mein pesh karne ke liye is series ko murattab karne ka ehtemam kiya gaya hai. Is mein mustanad zaraae se hi mawad ko lene ki koshish ki gaee hai aur bachchon ki umar ke etebar se usey dhaalne ka iltezaam kiya gaya hai. Mawad par mehnat karne ke sath sath usey muzayyan karke pesh karne mein bhi koi kasar nahi chhodi gaee hai.
Bachchon ke liye silsila QASASUL AMBIYA
Reviews
There are no reviews yet.